qudrat hai ab na dil pe na qabu zaban par qadmon pe un ke sar hai dimagh aasman par ye raaz-e-ishq aa gaya jis din zaban par hoga falak zamin pe zamin aasman par saqi ki wo nazar hai na saghar ki gardishen ab kya rakha hai pir-e-mughan ki dukan par allah un ke barq-e-tabassum ki khair ho makhluq ro rahi hai meri dastan par aazadiyan bhi apni asiri se kam nahin jo dil mein hai wo la nahin sakte zaban par ab un ki justuju hai na apni talash hai jab se wo chha gae hain hamare guman par apni zaban se kyon main kisi ko bura kahun khul jaegi har ek wafa imtihan par ye husn-o-ishq donon haqiqat mein ek hain lekin ye raaz la nahin sakta zaban par bar-e-zamin hai aaj hamara wajud bhi rahta tha ye dimagh kabhi aasman par kaunain mere husn ka ek aks hai 'munir' chhai hui hain dil ki ziyaen jahan par