quran kitab hai ruKH-e-jaanan ke samne

By rajab-ali-beg-suroorNovember 13, 2020
quran kitab hai rukh-e-jaanan ke samne
mushaf utha lun sahab-e-quran ke samne
jannat hai gard kucha-e-jaanan ke samne
dozakh hai sard sina-e-sozan ke samne


sakta abhi ho ruh-e-sikandar ko sharm se
aaina aae gar tere hairan ke samne
bahr-e-ummid gar use phailaun su-e-yar
daman-e-dasht tang ho daman ke samne


dast-e-junun se wo bhi na wahshat mein bach saka
parda jo kuchh raha tha gareban ke samne
mashshata ho aziz-e-zulekha agar wo lae
is mehr-e-misr ko mah-e-kanan ke samne


nadan kah rahe hain jise aaftab-e-hashr
zarra hai us ke ru-e-darakhshan ke samne
dam band us latode ki jurat ne kar diya
karta hai rez bulbul-e-bustan ke samne


diwar surkh khun se dekhi pata mila
qasid thahar gaya dar-e-jaanan ke samne
kahte hain roz-e-wasl jise past-hausla
be-qadr hai meri shab-e-hijran ke samne


taqrir dil jalati hai sunne se ai 'surur'
aata hai kaun mujh sharar-afshan ke samne
76052 viewsghazalEnglish