qurs-e-KHur ko dekh kar taskin rakh ai mehman-e-subh

By pandit-daya-shankar-naseem-lakhnaviNovember 12, 2020
qurs-e-khur ko dekh kar taskin rakh ai mehman-e-subh
ta-dahan-e-sham pahunchata hai raaziq nan-e-subh
mani-e-raushan jo hon to sau se behtar ek sher
matla-e-khurshid kafi hai pae-diwan-e-subh


sair-chashmi did ke bhukon ki dekho kahti hai
mah panir-e-sham hai khurshid-e-taban nan-e-subh
sadqe us parwardigar-e-pak ke jis ne kiya
bahr-e-tifl-e-ghuncha paida shir-e-be-pistan-e-subh


subh-dam ghaeb hue 'anjum' to sabit ho gaya
khanda-e-behuda par tode gae dandan-e-subh
wasl ki shab aankh dikhla kar ye anjum kahte hain
lo qayamat aai mashriq se utha tufan-e-subh


dekhe wo gulshan jo din-do-din rahe yan misl-e-gul
hum to shabnam-san 'nasim' ek dam ke hain mehman-e-subh
68188 viewsghazalEnglish