qusur-war na Thahraiye KHuda ke liye

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
qusur-war na thahraiye khuda ke liye
hamara bojh ziyaada tha is hawa ke liye
hui wo 'ishq mein haalat ki masjidon mein tamam
hamara nam pukara gaya du'a ke liye


malal dil mein agar koi hai to itna hai
ki meri 'umr ziyaada thi us khata ke liye
khula ki hum hi nahin hain gunahgar tere
qatar-band hue log jab saza ke liye


chale to aae ho marne ko aspatalon mein
zara si dhul ko tarsoge naqsh-e-pa ke liye
zara si baat thi tujh se mujhe milana tha
ye kaam itna bada ho gaya khuda ke liye


73044 viewsghazalEnglish