raat aankhon mein hi bitai hai

By prem-ranjan-animeshOctober 25, 2023
raat aankhon mein hi bitai hai
ab kiran pahli jhilmilai hai
is udasi ka kya karen bolo
chhutti hi nahin ye kai hai


aata jata hai sukh to mehman sa
ban gaya dukh ye ghar-jamai hai
chae tulsi ki pattiyon wali
man bahut aaj yaad aai hai


apni tahzib ko na lutne de
apne purkhon ki ye kamai hai
bhar gain pal mein sukhi nadiyan sab
aankh phir koi dabdabai hai


kal ke suraj ka khwab dekh 'animesh'
sham' hum ne bhi ek jalai hai
85113 viewsghazalEnglish