raat aati rahti hai din nikalta rahta hai
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
raat aati rahti hai din nikalta rahta hai
aur khuda ke bandon ka kaam chalta rahta hai
phir raha hun basti mein ye pata liye kab se
ek charagh us ghar mein din ko jalta rahta hai
ek ghar hai main jis mein rahta hun khush-o-khurram
ek baat hai jis se dil dahalta rahta hai
main bhi aasmanon mein roz izafa karta hun
wo bhi in zaminon ka rukh badalta rahta hai
zist ki tamazat mein shakh-e-marg se aage
rah-rau thaharta hai rasta chalta rahta hai
'ishq karne walon ko sirf ye suhulat hai
kuchh na karne se bhi kuchh dil bahalta rahta hai
main bisat-e-duniya ko jab lapet deta hun
koi dusra mujh mein ghar badalta rahta hai

11258 viewsghazal • English