raat-bhar intizar usne kiya

By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
raat-bhar intizar us ne kiya
khud ko kyon be-qarar us ne kiya
ye samajhne mein ho gai takhir
kis qadar sachcha pyar us ne kiya


meri kamiyan gina ke mahfil mein
kyon mujhe sharmsar us ne kiya
zad mein tufan ki thi meri kashti
kis saliqe se par us ne kiya


ye bhi kya kam hai ‘arsalan-ahmad'
aap par e'tibar us ne kiya
81732 viewsghazalEnglish