raat chhalki sharab aankhon mein mahke sare hi khwab aankhon mein dekho tum aisa kuchh nahin kahna hon jo ninden kharab aankhon mein sach kahun tum ne wo padhi hi nahin hai jo likkhi kitab aankhon mein kya kahen teri is ada ko hum dete rahna jawab aankhon mein tum ne jis din se mujh ko chaha hai khil uthe hain gulab aankhon mein muntazir hun teri nigahon ki ban ke rahna nawab aankhon mein ai 'ratan' tujh se iltija hai yahi odhe rahna naqab aankhon mein