raat-din itna sochta kya hai

By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
raat-din itna sochta kya hai
sach bata tera masala kya hai
wo nazar de ki padh sakun maula
meri taqdir mein likha kya hai


jo ta'aqub mein hai mere us ko
zat se meri faeda kya hai
meri ta'rif kar raha hai magar
mere bare mein jaanta kya hai


jaan bhi tere nam par kar di
aur tu mujh se chahta kya hai
zakhm tujh ko mila hai jo 'ahmad'
mundamil hoga sochta kya hai


12062 viewsghazalEnglish