raat ek shahr ne taza kiye manzar apne nind aaankhon se udi khol ke shahpar apne tum sar-e-dasht-o-chaman mujh ko kahan dhundte ho main to har rut mein badal deta hun paikar apne yahi virana bacha tha to khuda ne aakhir rakh diye dil mein mere sat samundar apne roz wo shakhs sada de ke palat jata hai main bhi rahta hun bahut jism se bahar apne kis qadar pas-e-murawwat hai wafadaron ko mere sine mein chhupa rakkhe hain khanjar apne koi sultan nahin mere siwa mera sharik masnad-e-khak pe baitha hun barabar apne