raat gae tak yunhi chalta rahta hun

By tariq-jawedJuly 14, 2021
raat gae tak yunhi chalta rahta hun
virani se baaten karta rahta hun
meri chhanw mein baithne wale soch zara
sara din main dhup mein jalta rahta hun


aap to bilkul waise mujh ko lagte ho
main jis phul ko khwab mein dekhta rahta hun
jiwan mujh ko roz guzare jata hai
main hun ke bas khak udata rahta hun


main ne ek din jhut ka luqma khaya tha
ab main aksar khun ugalta rahta hun
aksar mujh ko khud pe rona aata hai
aksar yunhi khud pe hansta rahta hun


ek ajab sa ped bulata hai mujh ko
aur main us ke khauf se darta rahta hun
jab bhi main ne tujh se milna hota hai
khud se teri baaten karta rahta hun


45274 viewsghazalEnglish