raat guzre hai mujhe naza mein rote rote

raat guzre hai mujhe naza mein rote rote
aankhen phir jaengi ab subh ke hote hote
khol kar aankh uda did jahan ka ghafil
khwab ho jaega phir jagna sote sote
dagh ugte rahe dil mein meri naumidi se
haara main tukhm-e-tamanna ko bhi bote bote
ji chala tha ki tere honth mujhe yaad aae
lal paen hain main is ji hi ke khote khote
jam gaya khun kaf-e-qatil pe tera 'mir' zi-bas
un ne ro ro diya kal hath ko dhote dhote
This is a great raat bhar jagna shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close