raat ki basi os paDi thi suraj ke angare par

By abid-razaFebruary 17, 2025
raat ki basi os padi thi suraj ke angare par
dam lene ko utre the hum ek nile sayyare par
aadhi raat ke sannate mein lashkar sara ghafil tha
tanha jab salar gira aur chob padi naqqare par


bhor samay purab ki jaanib khidki jab khul jaegi
'alam sara raqs karega qudrat ke ektare par
wa'da-e-wasl pe 'umr guzari landan ke mai-khanon mein
agle janm lahore mein milna chhajju ke chaubare par


hum majnun farishton ki tarkib mein hi betabi hai
pesh-qadam rahte hain chahe jal hi jaen sare par
ghaar ki diwaron se le kar bollywood ki filmon tak
mushki ghode par nikla tha pahuncha ek tayyare par


dilkash jismon ke baghon mein khak udai jawegi
kai jam jaegi ek din marmar ke fawware par
waqt ka ek sailab-e-ajal hai mauj-e-fana ki tughyani
kis mein dam hai ai kaj-fahmo waqt ke aage mare par


46410 viewsghazalEnglish