raat ko darkar tha kuchh dastani rang ka

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
raat ko darkar tha kuchh dastani rang ka
hum charagh-e-khamushi lae zabani rang ka
us ne peshani hamein di hai zamini rang ki
aur sajda chahta hai aasmani rang ka


gehuen-pan ne nikalwaya tha jannat se hamein
jaan-e-man ab ke karenge 'ishq dhani rang ka
'ishq ne to mera chehra hi badal kar rakh diya
aisa aaina dikhaya us ne sani rang ka


hum mohabbat karne walon ki ziden bhi hain 'ajib
chahiye ek waqi'a lekin kahani rang ka
shayad ab ukta gae sahra-nawardi se ghazal
chahte hain koi virana makani rang ka


'farhat-ehsas' us ki mitti ki sama'at khil uthi
she'r jab main ne sunaya tera pani rang ka
97898 viewsghazalEnglish