raat ko gahri nind mein aksar yun mahsus sa hota hai

By manmohan-talkhSeptember 24, 2023
raat ko gahri nind mein aksar yun mahsus sa hota hai
mere karan ghar mein koi chupke-chupke rota hai
bahar ko bahar nahin samjha ghar ko ghar hi nahin jaana
hum kya jaanen ghar bahar se kaisa rishta hota hai


yunhi kabhi hum fikr-e-sukhan mein jhapki si le lete hain
jaise aadhi raat gae dariya ka pani sota hai
jaisi bhi teri baaten thin dil hi thahra hai fankar
kaise kaise moti chun kar kya kya haar pirota hai


khar nikalen panw se hum aur aage aage phenkte jaen
phir kahte hain koi hamari rah mein kante bota hai
basti ki basti par kaisi chhap hai ek anhoni ki
kaun bada le ja ke bhanwar mein apni naw dubota hai


sar mein jab aakash samae tab hi sant koi kahlae
jis ke man mein bahe ganga wo jalti ret pe sota hai
ek pura ghar-bar hai tera jis ka tu rasiya bhi hai
phir ye tu ash'ar mein kaise 'talkh' akela hota hai


31647 viewsghazalEnglish