raat mein din qiyam karte hain
By gulnaz-khanOctober 24, 2023
raat mein din qiyam karte hain
hum charaghon ka kaam karte hain
bebasi apni 'am karte hain
sab ka jina haram karte hain
dard ka ehtiram karte hain
gham bhi jhuk kar salam karte hain
hum fida hain adaon pe apni
kaam khud ka tamam karte hain
is se pahle ki dam nikal jae
hum bhi kuchh kaam-dham karte hain
hum charaghon ka kaam karte hain
bebasi apni 'am karte hain
sab ka jina haram karte hain
dard ka ehtiram karte hain
gham bhi jhuk kar salam karte hain
hum fida hain adaon pe apni
kaam khud ka tamam karte hain
is se pahle ki dam nikal jae
hum bhi kuchh kaam-dham karte hain
19956 viewsghazal • English