raat raushan na hui kahkashan hote hue main bhi lau de na saka shola-e-jaan hote hue kar liya jazb mera dur kinaron ne wajud mauj-e-dariya na bana ju-e-rawan hote hue kyun giran-bar hai ehsas pe tanhai ki subh pas mere tere hone ka guman hote hue ye bhi mumkin hai ki main jang mein fateh thahrun tere qabze mein mere tir o kaman hote hue jab ki be-rang rahe bagh bahaaron mein 'shahab' tere jangal mein khile phul khizan hote hue