raat usko rula diya maine

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
raat us ko rula diya main ne
sab ghamon ka maza liya main ne
zikr kar ke teri udasi ka
sare phulon ko chup kiya main ne


ek din sha'iri bata degi
khud ko tanha nahin jiya main ne
aisi tartib di sitaron ko
aap ka nam likh diya main ne


qabr laiq zamin mil hi gai
'umr-bhar kuchh nahin kiya main ne
wo dubara nazar nahin aaya
jis ko tera pata diya main ne


dub kar mar gaya samundar mein
khaara pani nahin piya main ne
75774 viewsghazalEnglish