raaten guzarne ko teri rahguzar ke sath ghar se nikal pada hun main diwar-o-dar ke sath dastak ne aisa hashr uthaya ki der tak larzan raha hai jism bhi zanjir dar ke sath kashkol thamte hain kaf-e-eatibar se karte hain hum gadagari lekin hunar ke sath ab kis tarah ye tokari sar pe uthaun main suraj pada hua hai mere baam-o-dar ke sath suraj usi tarah hai ye mahtab usi tarah dhalte rahe hain yar hi sham-o-sahar ke sath yun hai meri udan pe bhaari mera wajud jaise zamin bandhi ho mere baal-o-par ke sath 'tabish' mujhe safar ki riwayat ka pas tha so main bhi rah bana ke chala rahguzar ke sath