raaton ki nind uD gai din ka sukun gaya

By naqui-niaziFebruary 27, 2024
raaton ki nind ud gai din ka sukun gaya
hathon se apna haal mohabbat mein yun gaya
aankhen gain hawas gae hum bikhar gae
jab sab chala gaya to nikal kar junun gaya


dil misl-e-gulsitan tha khizan mein ujad gaya
aankhon se qatra-qatra nikal kar ke khun gaya
us se jo aankhen chaar huin to ghazab huin
nazron se aaj mere jigar tak fusun gaya


batlao ahl-e-asr ko ahwal-e-dil 'naqi'
tan se aba wa sar se amama ye kyon gaya
56185 viewsghazalEnglish