raaz-e-fitrat nihan tha nihan hai abhi aasman se pare aasman hai abhi main azal se sunata raha hun magar na-mukammal meri dastan hai abhi ham-safar chhod kar chal diye hain to kya sath mere ye umr-e-rawan hai abhi umr-bhar su-e-manzil chala hun magar fasla jun ka tun darmiyan hai abhi rahaton ke wo din jaane kab aaenge zindagi dard ki tarjuman hai abhi manzil-e-ashiqi hum kahan paenge dil mein ehsas-e-sud-o-ziyan hai abhi