raaz-e-ulfat ko chhupaya hai jafa-ju humne
By ishrat-jahangirpuriJanuary 3, 2024
raaz-e-ulfat ko chhupaya hai jafa-ju hum ne
har sitam par jo piye khun ke aansu hum ne
baal-o-par ghaur se sayyaad ne dekhe badh kar
jab hilae hain qafas mein kabhi bazu hum ne
parda-e-abr-e-siyah jaise mah-e-taban par
tere 'ariz pe yunhi dekhe hain gesu hum ne
ek pahlu bhi shab-e-gham ne na badla afsos
ho ke betab bahut badle hain pahlu hum ne
badh ke khud tu ne safine kiye nazr-e-tufan
nakhuda aisi bhi dekhi hai teri khu hum ne
bazm mein tujh ko na paya to ba-adab-e-wafa
dhundha duzdida-nigahi se har ek su hum ne
jurat-e-arz-e-tamanna kabhi ras aa na saki
dil pe paya na tere samne qabu hum ne
jis pe pad jaen wo aaina-e-hairat ban jae
dekha hai un ki nigahon ka ye jadu hum ne
be-adab kah ke unhon ne hamein toka 'ishrat'
pyar mein kah diya jab tum ke 'ewaz tu hum ne

43429 viewsghazal • English