rabt mein pahlu-e-nairang kahan se aaya
By rahat-hasanNovember 13, 2020
rabt mein pahlu-e-nairang kahan se aaya
sahab-e-arz ko ye dhang kahan se aaya
khushnuma aks hue khar ki surat kaise
aaine sab the to phir sang kahan se aaya
gard ki zad mein hai khushbu se mahakta aangan
khwab mein dahr ka aahang kahan se aaya
sabz hai wadi-e-be-ab mein gulshan mera
shab ki taswir mein ye rang kahan se aaya
dost dushman hain sabhi waza pe qaem 'rahat'
kya kahun jit ke main jang kahan se aaya

56971 viewsghazal • English