rafta rafta manzar-e-shab tab bhi aa jaenge nind to aa jae pahle khwab bhi aa jaenge kya pata tha khun ke aansu rula denge mujhe is kahani mein kuchh aise bab bhi aa jaenge khushk aankhon ne to shayad ye kabhi socha na tha ek din sahraon mein sailab bhi aa jaenge hausle yun hi agar badhte gae to dekhna sahilon tak ek din girdab bhi aa jaenge bas zara milne to do meri tabahi ki khabar dil dukhane ke liye ahbab bhi aa jaenge aap ki bazm-e-mohazzab mein naya hun 'shad' main aate aate bazm ke aadab bhi aa jaenge