rag-o-pai mein bhara hai mere shor us ki mohabbat ka namak-parwar wo hun main yar ke husn-o-malahat ka banane se mere bigda ye rang un ki tabiat ka mujhi se hai pari-zadon ko dawe aadamiyat ka kharidari-e-jins-e-husn par raghbat dilata hai bana hai shauq-e-dil dallal bazar-e-mohabbat ka sada-e-ah hai mizrab-e-gham ki chhed se paida dil-e-nalan naya parda hai qanun-e-mohabbat ka jo waqt-e-qatl us ke lal-e-shirin ka pada partaw pilaya aab-e-tegh-e-yar ne sharbat shahadat ka hua ye dil na jab mera to phir kya aur ka hoga bharosa kijiyo tum bhi na aise be-murawwat ka zamane ko to mere waste in sab ne chhoda hai na hun kis tarah main mamnun dard-o-ranj-o-mehnat ka abas aasudgan-e-khak ko bad-khwab karte ho abhi se kyun macha rakkha hai hangama qayamat ka zaifi mein bashar lahw-o-lab ko tark karte hain safedi mu-e-sar ki nur hai kya chashm-e-ibrat ka bahaar-e-bagh-e-alam be-sabaat aisi hai ai bulbul guman hai khanda-e-gul par sada-e-kus-e-rehlat ka dabistan-e-azal mein ustad-e-ishq ne mujh ko sabaq pahle diya tha abjad-e-wab-e-mohabbat ka sada yan hillat-e-bint-e-anab ki aqd jari hai tariqa hai nirala pir-e-mai-kash ki tariqat ka jo paya mughbachon mein tarz-e-eajaz-e-masihai hua zahid bhi qail pir-e-mai-kash ki karamat ka subut-e-jurm ulfat kar ke mara us ke saude ne teri zulf-e-rasa darrah bani shara-e-mohabbat ka na dekha mud ke bhi phir ahd-e-piri mein jawani ne abas mazkur karte ho tum aise be-murawwat ka wo bekas hun siwae shabnam-e-giryan pas-e-murdan diya rone mein kis ne sath meri sham-e-turbat ka ghubar-e-kina-o-bughz-o-hasad se pak hai ye dil hamare aaine ne munh nahin dekha kudurat ka karen kya rind mashrab ikhtiyar ek mazhab ai waiz nahin dil todna manzur haftad-o-do-millat ka 'qalaq' har waqt ab hai samna taklif-e-piri ka jawani lut kar sab le gai asbab rahat ka