rag rag ek tasawwur ek umang bhare

rag rag ek tasawwur ek umang bhare
ek khushbu phulon mein kya kya rang bhare

fan ki apni mauj dukhon ki apni rau
ek tarkash mein koi kitne khadang bhare

kaun lakiron ko taswiron mein dhaale
kis ka lahu ye khake ye nairang bhare

rang-e-libas ko rang-e-badan se aab mile
gung huruf mein naghmon ka aahang bhare

kis ki aankhen tohmat-e-lams uthaengi
bijli ke tan mein hain kis ke rang bhare

pole pole panw dhare purwai bhi
khak mein udte rang ye kis ke sang bhare

kahish ka dariya bhi khwahish ka ghar tha
pani bharne aae aur nahang bhare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close