ragon mein zahr-e-khamoshi utarne se zara pahle bahut tadpi koi aawaz marne se zara pahle zara si baat hai kab yaad hogi in hawaon ko main ek paikar tha zarron mein bikharne se zara pahle main ashkon ki tarah is dard ko bhi zabt kar leta mujhe aagah to karta ubharne se zara pahle koi suraj se ye puchhe ki kya mahsus hota hai bulandi se nashebon mein utarne se zara pahle kahin taswir ruswa kar na de mere tasawwur ko musawwir soch mein hai rang bharne se zara pahle suna hai waqt kuchh khush-rang lamhe le ke guzra hai mujhe bhi 'shad' kar jata guzarne se zara pahle