rah-e-safar mein gard kabhi hai kabhi nahin dil mubtala-e-dard kabhi hai kabhi nahin hairan kiye hain khalq ko jadu ki bastiyan nam-o-nishan-e-fard kabhi hai kabhi nahin khun ki safediyon ka nazara hai mustaqil zor-e-hawa-e-sard kabhi hai kabhi nahin ye kaise hadsat ki surat hai shahar mein chehron ka rang zard kabhi hai kabhi nahin nilahaton ko jis ne ghazabnak kar diya wo sang-e-lajward kabhi hai kabhi nahin 'rahat' wo apni tarz badalta hai barha lagta mujhe bhi mard kabhi hai kabhi nahin