rah-e-talab mein hazaron hi raste nape
By samar-khanabadoshFebruary 28, 2024
rah-e-talab mein hazaron hi raste nape
zamin se ta-ba-falak kitne fasle nape
khirad ne hath uthae junun se kaam liya
maqam-e-jazb ke phir hum ne silsile nape
mushahidat ke duniya se do qadam aage
ba-faiz-e-'ishq hazaron hi falsafe nape
talash-e-ramz-e-haqiqat mein hum ne ye bhi kiya
ki mah-o-anjum-o-akhtar ke daere nape
kisi ki aah jo zanjir-e-'arsh se lipti
to phir zamin ne bhi kya kya na zalzale nape
wo bad-nasib hai shahr-e-habib mein aa kar
jo apne panw ko dekhe aur aable nape
khuda to ek hai phir ye 'ajab khuda-e-sukhan
ki jis ne apni hi manind qafiye nape
hamari khwahishen do gaz zamin pe aa thahrin
ki hum ne panw se shahon ke maqbare nape

55339 viewsghazal • English