rah gai luT kar bahaar-e-zindagi

By gopal-krishn-shafaqOctober 30, 2020
rah gai lut kar bahaar-e-zindagi
zindagi hai sogwar-e-zindagi
meri nazron mein hasin dhoka hai ek
jis ko kahte hain bahaar-e-zindagi


kulfaten kuchh talkhiyan kuchh hadse
ab yahi hai yaadgar-e-zindagi
mit raha ho jo kisi ke ishq mein
phir kahan us ko qarar-e-zindagi


teri ulfat tera gham tera khayal
kuchh yahi hai karobar-e-zindagi
apna dil hi jab paraya ho gaya
kaun ho ab raaz-dar-e-zindagi


tere dam se thi bahaaron mein bahaar
ab kahan hai wo bahaar-e-zindagi
sukhe patton se ye kahti hai khizan
yun utarta hai khumar-e-zindagi


apne daman se hawa dete raho
bujh na jae ye sharar-e-zindagi
ai 'shafaq' kis ne bigada hai ise
kaun hai parwardigar-e-zindagi


85719 viewsghazalEnglish