rah khamosh rahbar khamosh karwan lut gaya safar khamosh waqt padne pe har nazar khamosh dard badhne pe chaaragar khamosh khana-e-dil mein hu ka aalam hai aur diwar-o-baam-o-dar khamosh kaisi ab ke bahaar aai hai bulbulen chup to hain shajar khamosh haal-e-dil kab hai us se poshida jaan kar bhi hai wo magar khamosh husn-e-fitrat ka bolta manzar kar gaya mujh ko kis qadar khamosh kyon musalsal sitam uthae koi kyon rahe koi umr bhar khamosh jhelte jhelte azab yahan ho gae 'naz' ghar ke ghar khamosh