rah mein paDti thi diwar nahin dekh saka

rah mein padti thi diwar nahin dekh saka
main ki is par tha us par nahin dekh saka

dekhta tha jise rozana ki buniyaad pe main
ek do sal se ek bar nahin dekh saka

yar tu kaise kisi shakhs ki jaan leta hai
main to ek chidiya ko bimar nahin dekh saka

is pe kya gham ki churai hain nigahen us ne
main bhi to us ko lagatar nahin dekh saka

tu ai dushman meri haalat ko kahan dekhega
meri jaanib to mera yar nahin dekh saka

is liye umr se main tujh ko bada lagta hun
tu mere hijr ki raftar nahin dekh saka

aisi tartib se rakkha tha saja kar 'danish'
mal mein naqs kharidar nahin dekh saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close