rahat-e-nazar bhi hai wo azab-e-jaan bhi hai us se rabt-e-lazzat bhi aur imtihan bhi hai fasle mite bhi hain aur kuchh badhe bhi hain ye safar zaruri hai aur raegan bhi hai umr-bhar ki uljhan de ek pal ka nazzara tera gham haqiqat bhi aur be-nishan bhi hai teri mithi baaton mein jhil jhil aankhon mein aag bhi sulagti hai dard se aman bhi hai tai karen to hum kaise fasle dil-o-jaan ke ek ye ana ka pul apne darmiyan bhi hai lakh main tujhe bhulun lakh tu mujhe bhule ek rishta-e-benam apne darmiyan bhi hai ishq-e-dil mein tughyani barf barf honton par sar-phiri bhi hai chahat aur be-zaban bhi hai teri zindagi sargarm meri zindagi uljhan raqs mein bhi hai khwahish aur sargiran bhi hai 'sham' jaane kyun hum ne si liya hai honton ko warna apne hathon mein waqt ki inan bhi hai