rahat na mil saki mujhe mai-khana chhod kar gardish mein hun main gardish-e-paimana chhod kar khum mein subu mein jam mein niyyat lagi rahi mai-khane hi mein hum rahe mai-khana chhod kar aankhon ko chhod jaun ilahi main kya karun hatti nahin nazar rukh-e-jaanana chhod kar aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar lab chum lun tera lab-e-paimana chhod kar hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu jata kahan hai shama ko parwana chhod kar do ghunt ne badha diye rindon ke hausle mina o khum pe jhuk pade paimana chhod kar phir bu-e-zulf-e-yar ne aa kar sitam kiya phir chal diya mujhe dil-e-diwana chhod kar yaad aai kis ki aankh ki rind uth khade hue paimana tod kar mai o mai-khana chhod kar duniya mein aafiyat ki jagah hai yahi 'jalil' jaana kahin na gosha-e-mai-khana chhod kar