rahe hai aaj kal kuchh is tarah charkh-e-kuhan bigda mare hi aashiyan se jaise ye nazm-e-chaman bigda kahan guzri hai sari raat kuchh hum bhi sunen aakhir ye rukh ye chandni chhitki ye tar-e-pairahan bigda baras kar rah gain kaliyan chaman ke farsh-e-rangin par pakad kar shakh jab kal sham wo ghuncha-dahan bigda teri nazron hi tak tha sab saliqa ahl-e-mahfil ka tere uthte hi jaan-e-husn rang-e-anjuman bigda kise aata tha jina is se pahle teri duniya mein sanwara hai mohabbat ne mazaq-e-ruh-o-tan bigda gila tha bewafai ka hamein par un se kya kahiye wo kahte hain ki hai kuchh in dinon tera chalan bigda