rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza gul-afshan hai karam tera chaman mein dahr ke har ja na puchho koi aish-o-khurrami ko ahd mein us ke ki jis ke faiz se ghar ghar hai daur-e-saghar-e-sahba arastu-jah wo farrukh-nazhad-e-ahl-e-alam hai ki jis ke fazl-o-bakhshish ka jahan mein hai alam barpa dua hai ye mawali ki tasadduq se aimma ke rakhe sae mein apne lutf ke tujh ko ali maula nahin kuchh zeb ai mehr-e-siphar-e-ma'adalat is mein ayan 'chanda' pe jo kuchh hai nawazish ye karam-farma