rahguzar shishe ki hai na us ka dar shishe ka hai

By shafeeq-abidiMay 14, 2021
rahguzar shishe ki hai na us ka dar shishe ka hai
dar-haqiqat apna hi rakht-e-safar shishe ka hai
chalta phirta bolta sunta samajhta hai magar
lagne ko kuchh bhi lage har ek bashar shishe ka hai


aadam-o-iblis ka kirdar deta hai sabaq
khair hai faulad ki manind shar shishe ka hai
be-sabab takrao mat tahzib ke rasm-o-riwaj
kuchh idhar shishe ka hai to kuchh udhar shishe ka hai


waqt ka patthar to chakna-chur kar dega use
ghaur se dekho zara zalim ka ghar shishe ka hai
tujh se pahle tut kar bikhre yahan kitne 'shafiq'
kya nahin malum shohrat ka samar shishe ka hai


86141 viewsghazalEnglish