rahin-e-KHwab hun aur KHwab ke makan mein hun

By sajjad-baluchNovember 15, 2020
rahin-e-khwab hun aur khwab ke makan mein hun
jahan mujh se siwa hai main jis jahan mein hun
ajab tarah ka khirad-khez hai junun mera
mujhe khabar hai main kis kar-e-raegan mein hun


tu mujh ko phenk chuka kab ka apne dushman par
main ab kaman mein nahin hun tere guman mein hun
meri thakan bhi teri hijraton mein shamil hai
main gard gard sahi tere karwan mein hun


ulajh pada tha main ek roz apne sae se
aur us ke baad akela hi dastan mein hun
84267 viewsghazalEnglish