rahna nahin agarche gawara zamin par

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
rahna nahin agarche gawara zamin par
lekin ek aadmi hai hamara zamin par
turfa ki rasm-e-girya-o-zari bhi uth gai
mushkil to pahle hi tha guzara zamin par


pahle to di gai mujhe binai aur phir
manzar 'ajib us ne utara zamin par
bhatke huon ko rah dikhane ko kam nahin
tute hue diye ka kinara zamin par


us ki nazar badalne se pahle ki baat hai
main aasman par tha sitara zamin par
98295 viewsghazalEnglish