rahta hai apni dhun mein hawa par sawar waqt karta nahin kisi ka kabhi intizar waqt dariya hai aur laut ke aata nahin kabhi sun kunj-e-afiyat mein na apna guzar waqt aata nahin giraft mein meri kisi tarah simab ki tarah hai bahut be-qarar waqt baqi tamam umr kati hai fuzul mein guzra jo tere sath hai wo yaadgar waqt gar mil gaya kisi ko to wo khush-nasib hai milta nahin hai sab ko yahan bar bar waqt sab kaam na-tamam pade hain mere abhi thoda sa mujh ko de mere parwardigar waqt rahta hai ek haal mein bas ek mera khuda rahta nahin hai ek sa ai mere yar waqt ye waqt bhi 'hanif' guzar jaega zarur aaega ek roz idhar khush-gawar waqt