rahta hai mere dil mein tera nur raat din

By kishan-kumaar-waqaarNovember 5, 2020
rahta hai mere dil mein tera nur raat din
ek shoala barq-zan hai sar-e-tur raat din
manind mehr-o-mah hasinon mein hai firaq
kyun ek ek se na rahe dur raat din


hum ne milai aankh ye munh hai sahab ka
jari hai zakhm-e-chashm ka nasur raat din
tere liye misal-e-mah-o-mehr-o-najm-o-charkh
phirte hain lunj-o-lang-o-kar-o-kor raat din


kuchh gham firaq ka hai na kuchh wasl ki khushi
hun us ke zauq-o-shauq mein masrur raat din
munh kis ka mera zikr kare us ke ru-ba-ru
rahta hai warna khalq ka mazkur raat din


khwahish har aaina hai udhar bhi nazar rahe
go aaina nazar ke hai manzur raat din
dil mein jo bas rahi hai koi naznin hasin
phirti hai meri aankhon mein ek hur raat din


sozish hai dagh-e-hijr mein is se siwa 'waqar'
bharta hun jitna marham-e-kafur raat din
94121 viewsghazalEnglish