rahun KHamosh to jaan lab pe aai jati hai
By khursheed-rizviFebruary 27, 2024
rahun khamosh to jaan lab pe aai jati hai
jo kuchh kahun to qayamat uthai jati hai
yahi raha hai hamesha se zindagi ka mizaj
hujum-e-jalwa hai aur nind aai jati hai
nikalti nahin kyon khal-o-khad ki jab shab-o-roz
haram ke chaak pe ummat chadhai jati hai
dabae baithi hai jis ko abhi siyahi-e-shab
mujhe wo subh-e-darakhshan dikhai jati hai

17439 viewsghazal • English