rahzani hai sar-e-bazar tumhein kya malum tum to ho qafila-salar tumhein kya malum nam kis shai ka hai aazar tumhein kya malum zindagi gul hai ki hai khar tumhein kya malum mahw-e-aina ho tum tum ko khabar bhi kyon ho kaun kis ka hai talabgar tumhein kya malum mere hansne pe na jao ye meri aadat hai dil pe chalti hai jo talwar tumhein kya malum sar-e-bazar lahu bikta hai fan bikta hai han magar garmi-e-bazar tumhein kya malum tum ne aankhon mein koi raat kahan kati hai tutte taron ki jhankar tumhein kya malum jin ko aa jata hai jine ka saliqa 'azmat' muskuraate hain sar-e-dar tumhein kya malum