rakh kuchh dil mein ziyaada hai sharara kam hai

By mohsin-ehsanNovember 7, 2020
rakh kuchh dil mein ziyaada hai sharara kam hai
hum ne is aaine mein aks utara kam hai
raushni aaj ajab tirgi-e-khak mein hai
aasman dekh tera ek sitara kam hai


dhundhta phirta hun khar-o-khas-o-khashak mein husn
meri binai ko saughat-e-nazara kam hai
marg-e-yaran-e-sukhan-sanj pe khun rota hun
kya karun sabr ki ab sabr ka yara kam hai


tum ko andaza-e-sailab nahin hai 'mohsin'
baadalon ne jo kiya kya wo ishaara kam hai
28786 viewsghazalEnglish