rakhe koi is tarah ke lalchi ko kab talak bahla chali jati hai farmaish kabhi ye la kabhi wo la mujhe in kohna aflakon mein rahna khush nahin aata banaya apne dil ka hum nin aur hi ek nau-mahla rahi hai sar nawa sanmukh gai hai bhul mansuba teri ankhiyon nin shayad mat ki hai nargis-e-shahla kiya tha ghair nin ham-rang ho kar wasl ka sauda tumhaara dekh mukh ka aaftab us ka to dil dahla kaf-e-pa yar ka hai phul ki pankhudi se nazuk-tar mera dil narm-tar hai us ke hote us se mat sahla jawabon mein ghazal ke 'abru' kyun kahl karta hai tu ek adna tawajjoh bich kah leta hai mat kahla