rakhta hai go qadim se buniyaad aagara akbar ke nam se hua aabaad aagara yan ke khandar na aur jagah ki imaraten yaro ajab maqam hai dil-shad aagara shaddad zar laga na banata bahisht ko gar jaanta ki howega aabaad aagara tode koi qile ko koi lute shahr ko ab kis se apni mange bhala dad aagara ab to zara sa ganw hai beti na de ise lagta tha warna chin ka damad aagara yak-bargi to ab mujhe ya-rab tu phir basa karta hai ab khuda se ye fariyaad aagara ek khub-ru nahin hai yahan warna ek din tha rashk-e-husn-e-balakh-wa-naushad aagara hargiz watan ki yaad na aawe use kabhi jo kar ke apni jaan ko kare shad aagara is mein sada khushi se raha hai tera 'nazir' ya-rab hamesha rakhiyo to aabaad aagara