rakhta hai sada hont ko jun gul ki kali chup wo ghuncha-dahan aah ye sikha hai bhali chup sota hai to leta hun main yun chori se bosa jun munh mein khila de koi misri ki dali chup minnat se kaha hum ne to tum aah na bole jab ghair ne ki gudgudi phir kuchh na chali chup parwane se aashiq ke tain shama jala kar phir aap bhi roti hai khadi bakht-jali chup sabzi bhi ugi bagh mein ghunche bhi khile aah par is mari gungi ke labon se na tali chup ghusse mein raqib aata hai jab bhut sa ban kar padhta hun main jab dil mein khada nat-e-ali chup mar jaen pa shikwe ki kabhi baat na nikle ye hont wo hain jin mein azal se hai pali chup jis dam ye khabar ja ke raqibon ko hui phir bas sunte hi sun ho gae aur sans na li chup ulti hi samajh yar ki sunta hai 'nazir' aah zinhaar na kuchh boliyo yan sab se bhali chup