rakhta hun talai rang aur ashk bhi moti hai munim ke bhi ghar aakhir daulat yahi hoti hai sumbul ki pareshani kab kam thi ki phir tis par shabnam jo sarishk us ke mizhgan mein piroti hai aali se main ja puchha kya waqia yan guzra gul chaak-gareban hai shabnam hai ki roti hai dam sard hi wo bhar kar ye mujh se laga kahne har subh gulistan ki haalat yahi hoti hai 'ishq' apni fana ka khauf sarkash ke nahin dil mein kab shama ye hai raushan jo subh bhi hoti hai