rakkhi hargiz na tere rukh ne rukh-e-badr ki qadr khoi kakul ne bhi aakhir ko shab-e-qadr ki qadr izzat-o-qadr ki us gul se tawaqqoa hai abas wan na izzat ki kuchh izzat hai na kuchh qadr ki qadr rasti khwar hai us chashm-e-fusun-parwar se han magar manzilat-e-makr hai aur ghadr ki qadr mai-paraston mein hai yun saghar-o-mina ka waqar jaise islam mein ho mohtasib o sadr ki qadr kafsh-bardari se us mahr ki chamka hai 'nazir' warna kya khak thi is zarra-e-be-qadr ki qadr