ranai-e-kaunain se be-zar hamin the hum the tere jalwon ke talabgar hamin the hai farq talabgar o parastar mein ai dost duniya thi talabgar parastar hamin the is banda-nawazi ke tasadduq sar-e-mahshar goya teri rahmat ke saza-war hamin the de de ke nigahon ko tasawwur ka sahaara raaton ko tere waste bedar hamin the bazar-e-azal yun to bahut garm tha lekin le de ke mohabbat ke kharidar hamin the khatke hain tere sare gulistan ki nazar mein sab apni jagah phul the ek khar hamin the han aap ko dekha tha mohabbat se hamin ne ji sare zamane ke gunahgar hamin the hai aaj wo surat ki banae nahin banti kal naqsh-e-do-alam ke qalamkar hamin the pachhtaoge dekho hamein begana samajh kar manoge kisi waqt ki gham-khwar hamin the arbab-e-watan khush hain hamein dil se bhula kar jaise nigah o dil pe bas ek bar hamin the 'ehsan' hai be-sud gila un ki jafa ka chaha tha unhen hum ne khata-war hamin the